Makkah Gallery   Medina Gallery   Gaus Paak   Madar Paak   Khwaja Garib Nawaz   Nagore Sheriff   Sabir Paak   Waris Paak   Alaa Hazrat

   Indian Dargahs   Intl. Dargahs   Hadees   Namaaz    Silsila    Sacred Sites    Masjid Gallery   Dargah Gallery   Search    Forums    Home   

 Latest News from South Asia :
« »
::: Forums :::
Why should a Non Muslim Revert to Islam
Answer Wahabis
Stories & Waqias
Pearls of Wisdom
Beauty of Islam
Beauty of Rasool
(peace be upon him)
Other Religions
Add New Dargahs
Whats New
Khadim Info
Urs Info
FAQ
 
::: Islamic :::
Al Mighty
Zikr and Prayers
About Islam
Prophet
Sunnah
Quran
Imams
Caliphs
   
::: Stories :::
Stories of Prophet
Stories of Imam Ali
  

::: Search :::
Indian Dargahs
Intl. Dargahs
By Indian State
By Map of India
Whats New
Search Full Site
 
 
::: Historical :::
Sacred Sites
4 Caliphs of Islam
4 Imams of Islam
Historical Facts
Histories Firsts.
 
::: Articles :::
Allahs Pharmacy - Must Read Article
Kaaba & Kiswah
Women Sufis
Aulia Allah
Real Masjid Al Aqsa
Islam in China
Best Time for Duaa
Harut & Marut
Stories of Prophet
Stories of Imam Ali
Harut & Marut
YA'JOOJ MA'JOOJ
Excuse for Namaaz
Chisty
Sufism
Women in Islam
Ziyarat
  
 
  
::: Contacts :::
Introduction
About Us
Contact Us
Support Us
Advertise
Guestbook
Partners
Resource
   
::: Gallery :::
Dargah Gallery
Masjid Gallery 1
Masjid Gallery 2
Masjid Gallery 3
Masjid Gallery 4
Prophets Mazars
Prophets Gallery 1
Prophets Gallery 2
Prophets Gallery 3
Prophets Gallery 4
Prophets Gallery 5
  
 
  
::: Celebrations :::
Bakra Eid
Eid-Ul-Fitr
Ramadan
Rajjab
Shaaban
Kunde
Shawwal
Shab-e-Baraat
Moharram
12 Rabiul Awwal
Shab-e-Mehraaj
Laylat al-Qadr
   
::: Support :::
Contribute
Advertise
Support Us
Contact Us
Partners
Resource
Guestbook
About Us
 
::: Whats New :::
Sunnah

Zikr and Prayers

Rare Pics and Qualities of ZAM ZAM well
Ideal Muslim
Allahs Pharmacy - Must Read Article
  

 

Hazrat Makhdoom Shaik Sarang(Reh) Ka Naam Shaikh Mohammed Khamis Urf Abdullah Rumi Hai.

Hazrat Sayed Kabber Ahmed Bukhari Aur Hazrat Sayed Safdar Ali Bukhari(Reh) Namak Do Bhai Thae. Hazrat Sayed Kabir Ahmed(Reh) Ke Do Ladke Thai Bade Ka Naam Hazrat Makhdoom Jalaluddine Jahaniya Jahangasht Aur Chote Ka Naam Hazrat Sayed Abul Fazal Urf Raju Kattal Tha.

Hazrat Safdar Ali Bukhari Ko Ek Ladka Tha Jiska Naam Shaikh Mohammed Khamis Urf Abdullah Rumi Tha, Jinhe Baad Main Hazrat Makhdoom Shaikh Sarang Ke Naam Se Jana Gaya. Hazrat Sayed Safdar Ali Bukhari(Reh) Islam Pehlane India Aye Thai. Allah Ke Hukum Se Apne Malwa Main Kayam Kiya, Jab Malwa Ke Raja Ko Pata Chala Ki Koi Buzrg Aya Hai To Wo Unse Mulakat Ke Liye Gaye Aur Unke Akidatmando Main Shamil Hogaye.
Hazrat Sayed Safdar Ali Bukhari(Reh) Malwa Main Kafi Arsa Rehne Ke Baad Wapsi Ke Bare Main Socha To Wahan Ke Raja Ne Unse Guzarish Ki Ap Malwa Chod Kar Nahi Jaye Aap Ke Jane Ke Baad Hamara Kya Hoga.

Ye Baatain Sunkat Hazrat Sayed Safdar Ali Bukhari(Reh) Ne Farmaya Ki Jis Tarah Bhi Aap Log Chate Hai Mujhe Batladijye To Raja Ne Kaha Ki Apne Bete Ko Yahan Hamre Pass Chod Jaye Is Main Hamari Bhalaye Hai Aur Ise Hamara Sagar Sarang Hojayega. Hazrat Ne Apne Bete Hazrat Makhdoom Shaikh Sarang(Reh) Ko Us Raja Ke Pass Chod Diya Aur Wapas Hogaye.

Us Raja Ne Bhi Hazrat Makhdoom Shaikh Sarang(Reh) Ko Apne Beta Bana Liya Aur Pure Awaam Main Ailan Kardiya Ki Aaj Se Ye Ladka Yahan Ka Raja Hai Aur Khud Wahan Ka Mantari Bangaya. Aisa Karte Hi Allah Ka Us Raja Par Karam Hua Aur Uski Charo Biwiyan Hamal Se Hogaye Aur Teen Raniyon Ko Ladke Aur Ek Ko Ladki Paida Hui. Ye Dekh Kar Raja Bohat Kush Hua Aur Allah Ka Shukr Ada Kiya.

Raja Ke Parde Ke Baad Hazrat Makhdoom Shaikh Sarang(Reh) Pure Milkiyat Ke Malik Bangaye Unhone Us Jagah Ka Naam Malik Sarang Rakha Jo Aaj Bhi Malwa Main Is Naam Se Jana Jata Hai. Jab Raja Ki Ladki Badi Hui Jo Hazrat Ki Khooni Rishtey Se Behan Hui Apne Uski Shadi Feroz Shah Tughlak Ke Bete Se Kardi Aur Khud Apna Bhi Nikkah Shahi Gharane Main Kiya Aur Ek Sehar Saranag Pura Bus Gaya Jo Aaj Bhi Malwa Rajye Main Hai.

Hazrat Abdul Haq Mohaddis Dhelvi(Reh) Ne Akhbarool Akhiyar Namak Kitab Main Likha Hai, Shuruwat Main Hazrat Makhdoom Shaikh Sarang(Reh) Sultan Feroz Shah Tughlak Ke Darbar Main Bohat Khass Ameer Thai. Unki Uohda Bohat Ucha Tha Wo 12000 Ghudsawaron Ke Sardar Thai. Har Bade Faisle Main Hazrat Ki Raye Zaroor Lijati Thi.
Khazinat Ul Asfiya Ke Writer Mufti Ghulam Sarwar Ne Likha Hai Ki Ek Baar Hazrat Makhdoom Jalaluddine Jahaniya Jahangasht(Reh) Aur Hazrat Sayed Raju Kattal(Reh) Sultan Feroz Shah Tughlak Ke Mehan Main Tashreef Laye. Us Waqt Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Mahal Main Umrah Ki Hasiyat Se Hazir Thai. Dono Buzrgon Ke Khidmat Ka Kaam Hazrat Ne Khud Apne Zime Le Liya. Aap Ne In Dono Pahunce Huye Buzrgon Ki Bohat Dil Se Khidmat Ki. Ek Din Hazrat Raju Kattal(Reh) Ne Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Se Kaha Ki Agar Tum 5 Waqt Ke Namaz Ada Karoge To Main Tumhain Hazrat Hazrat Makhdoom Jalaluddine Jahaniya Jahangasht(Reh) Ka Jhuta Khana Khilaunga. Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Ne Aisa Hi Kiya Ye Dekh Kar Hazrat Kattal(Reh) Ne Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Ko Namaz Chaast Aur Ushraq Padhne Ka Tariqa Bataya Aur Kaha Ki Agar Ye Namazin Tum Roz Padhne Lagoge To Main Tumhare Sath Ek Hi Bartan Main Khana Kahunga. Kuch Waqt Guzarne Ke Baad Ek Din Hazrat Raju Kattal(Reh) Ne Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Ko Ek Bartan Main Khana Khaya Aur Kuch Lukme Apne Hath Se Bhi Khila Diye, Bus Kya Tha Yahan Niwala Andar Jana Tha Aur Allah Ka Karam Hona Tha.
Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Wo Lukme Main Khane Ke Baad Apne Andar Ek Aisa Badlaw Pate Hai Aur Unke Andar Jazba Haqiqi Paida Hua. Unka Dil Duniya Ki Chamak Dhamak Se Bhargaya. Hazrat Apni Sari Daulat Gareebon Main Baat Dete Hai Aur Sachhe Peer Ke Talash Main Nikal Padte Hai.

Khazinat-Ul-Awliya Ain Likha Hai Ki Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Ne Fakiri Ke Katon Bhare Raston Par Kadam Rakha Aur Apne Peer Haji Harman Sahab(Reh) Ke Bargah Main Hazair Hotey Hai Aur Unse Bayat Lete Hai Baad Main Apko Hazrat Makhdoom Jalaluddine Jahaniya Jahangasht(Reh) Aur Hazrat Sayed Raju Kattal(Reh) Se Khilafat Hasil Hui.
Ek Baar Jaab Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Apni Biwi Bachon Ke Sath Kaba Shairf Jane Ke Liye Ek Kafile Ke Sath Hogaye, Hazrat Ka Zindagi Bohat Aram Se Guzari Thi Wo Kabhi Paidal Nahi Chale Thai, Thodi Door Nange Pair Paidal Chalne Se Unke Aur Unke Biwi Bachoon Ke Pairon Main Chale Padjate Hai, Majboor Hokar Hazrat Ko Kafile Se Door Hona Padta Hai. Unhone Bachoon Ke Sath Raat Ek Ujad Aur Sunsan Jagah Par Bitaye Isi Tarah 3 Din Guzar Gaye. Teesri Raat Ke Teesre Pehar Achanak Hazrat Shaik Sarang(Reh) Uthai Aur Apne Biwi Bachoon Se Kehte Hai Ki Ankhain Band Karo, Jab Anhkahin Khulti Hai To Sab Apne Aap Ko Wo Kafila Jo Choot Gaya Tha Uske Samne Patain Hai Aur Is Tarah Kaba Sharif Pahuncte Hai. Kafi Waqt Kaba Sharif Main Rehne Ke Baad Aap Wapas Ate Hai Aur Hazrat Yusuf Aerzi(Reh) Ke Khidamt Main Waqt Guzarteh Hai. Yahan Rehkar Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Ko Kharqa Khilafat Se Nawaza Jata Hai Aur Raaz-O-Niyaz Ki Batain Ata Hoti Hai.

Hazrat Bich Bich Main Apne Peer Sahab Hazrat Haji Haramin Sahab(Reh) Se Bhi Milte Rehte Thai Aur Faiz Pate Rehtey. Apne Peer Sahab Ke Parde Ke Waqt Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Unke Pass Nahi Thai Wo Haj Par Thai Aur Unke Bachoon Ko Sultan Ne Good Le Liya Tha Aur Apne Bachoon Ke Tarah Hindustan Main Rakha Tha.
Hazrat Makhdoom Shaikh Sarang Ki Biography Main Ye Likha Hai Ki Ek Baar Hazrat Raju Kattal(Reh) Ne Punjab Se Khirqa Aur Bohat Se Cheezain Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Ke Pass Bhijwaye. Hazrat Ne Bohat Adab Se Ye Sara Saman Wapas Karwadiya Ye Kehkar Ki Main Tariqat Main Naya Naya Muslim Hun Aur Ye Libaas To Auliya Allah Ka Bheja Hua Hai Main Itna Kabil Nahi Ke Ise Pehan Lu.Dusri Baar Phir Hazrat Raju Kattal(Reh) Ne Apne Peer Ke Taraf Se Ata Ki Gaye Sare Cheezain Hazrat Shaik Sarang(Reh) Ke Pass Bhijwaye Aur Kaha Ki Ke Sari Cheezain Allah Ke Habbeb(Sal Lal Laho Tala Alaihi Wasalam) Ke Hukum Se Tumhare Pass Bhej Raha Hun. Ye Sunkar Hazrat Makhdoom Shaikh Sarang(Reh) Ne Wo Sara Saman Bohat Adab Se Ek Bohat Pahunche Huye Buzrg Jinka Naam Hai Hazrat Shaikh Hissam Uddine(Reh) Jo Ki Shoharwariya Silsile Se Taluk Rakhtey Thai Unse Li Aur Apne Sar Ankhon Par Lagaya.

Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Khirqa Aur Dusre Saman Milne Ke Baad Ilm Se Aise Bhar Gaye Ki Kya Kehna. Ek Din Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Ko Bargah-E-Nabvi(Sal Lal Laho Tala Alaihi Wasalam) Se Hukam Hua Ki Tum Hindustan Wapas Jao Aur Jahn Bhi Koi Naye Baat Dikhye Wahi Apni Kahayam Gah Banana.


Hazrat Us Jagah Ki Talash Main Lag Gaye Aur Lucknow Aye Par Yahan Ki Bhid Bhad Dekh Kar Wahan Se Chaldiye.Kuch Waqt Guzarne Ke Baad Ap Ajmer Shairf Gaye Wahan Bhi Apko Yahi Hukum Hua Ki Awad Chalejao Aur Jahan Bhi Koi Naye Baat Dekhna Wahain Kayam Karna.


Hazrat Shaikh Saranag(Reh) Wapas Ajmer Se Awadh Ke Taraf Aye Aur Us Jagah Ki Talash Main Lag Gaye. Ek Din Aap Ek Jungle Main Pahunche Magrib Ka Waqt Horaha Tha Aap Ne Wahi Azzan Di Aur Namaz Ke Liye Khade Hogaye. Us Waqt Awadh Ke Charo Taraf Raajbar Jaati Ke Log Rehte Thai. Jahan Hazrat Ne Azaan Di Thi Wahan Ka Swami Raajbar Jati Ka Hi Tha. Usne Apne Logon Ko Hukum Diya Ki Jao Is Azzan Dene Wali Ki Gardan Kaat Lao. Ye Sunte Hi Log Us Hazrat Ki Taraf Daudpade Aur Un Hain Charo Taraf Se Gher Liya. Us Waqt Hazrat Namaz Main Mashgool Thai Achanak Ek Karamat Hoti Hai, Jin Logon Ne Hazrat Ko Gher Liya Tha Unke Pair Zammen Se Chipak Gaye Aur Hath Talwaron Se Band Gaye Aur Unke Bolne Ke Takat Khatm Hogaye.

Jab Hazrat Namaz Padhkar Uthai To Unhone Dekha Ki Bheed Unhain Ghere Huye Khadi Hui Hai Apko Bahrgah-E-Banvi(Sal Lal Laho Tala Alaihi Wasalam) Ke Kahi Hui Baat Yaad Aye Aur Aap Samjh Gaye Ki Ye Wahi Jagah Hai Jahan Ke Liye Hukum Hua Tha. Aap Ne Un Logon Se Pucha Ki Tumlog Yahan Kyu Aye Ho. Jaise Hi Hazrat Ne Ye Pucha Un Logon Ke Bolne Ke Takat Wapas Agaye Aur Ek Shaksh Ne Kaha Ki Hamre Raja Ne Ap Ka Sar Katne Ke Liye Hmain Bheja Hai Ispar Hazrat Ne Kaha Ki To Tum Log Apna Kaam Kyu Nahi Kartey Usne Jawab Diya Ki Zammen Ne Hamre Pair Jakadliye Hai Aur Hath Ne Talwar Ko Pakad Rakha Hai Isliye Majboor Hai Nahi To Kab Ka Kaat Diya Hota Sir. Ye Batain Sunkar Hazrat Bole Jao Wapas Chale Jao Aur Apas Main Samjah Lo. Ye Kehte Hi Bheed Ke Hath Pair Azad Hogaye Aur Wo Apas Main Hu Ladne Lage Ladaaye Itni Khatarnak Hui Ki Pure Rajbar Ke Gharana Kahatam Hogaya Sirf Ek Aurat Jo Hamal Se Thi Wahi Bachi Jiske Khadan Ke Auladain Aj Bhi Bashar Namak Gao Main Rehti Hai. Bashar Mazgawan Se 3miles Door Hai. Is Hadse Ke Baad Hazrat Ne Allah Ka Shukr Ada Kiya Aur Wahi Mazgawan Main Rehne Lage Aur Deen Ki Khidmat Main Puri Tarah Doob Gaye Aur Logo Ko Sirate Mustaim Par Chalate Ka Tarika Batate Rahey.


Is Karmat Ke Baad Hazrat Ka Charcha Sare Hindustan Main Phail Gaya Dhere Dhere Ye Khabar Delhi Ki Badsha Tak Pahuchi Wo Badsha Hazrat Ka Rishtey Main Bhanja Lagta Tha Usne Apni Khwaish Jataye Hazrat Se Mulakat Ke Liye Par Hazrat Ne Mana Kardiya. Kuch Arsey Baad Hazrat Ke Sahab Zade Hazrat Masood Alam Urf Malik Mina Jo Us Samay 12000 Faujiyon Ke Senapati Thai Wo Hazrat Shaikh Sarang Ki Khidmat Main Hazir Huye Aur Kadambosi Ka Sahrf Hasil Kiya.


Hazrat Ki Tarike Wafat:
Hazrat Ke Sahab Zade Hazrat Malik Mina(Reh) Hazrat Ke Sath Hi Rehne Lagey. Ek Din Malik Mina Sahab(Reh) Shikar Par Gaye Eid Ki 17 Tarikh Thi Jumeraat Thi Raat Ke 9 Baje Thai, Achanak Shaik Sarang Sahab Ke Pukarne Par Har Baar Malik Mina(Reh) Ki Jagah Shah Mina Shah Lucknowi(Reh) Tashreef Late Aur Arz Kartey Ki Hazrat Ghulam Mina Apki Khidmat Main Hazir Hai. Aisa 3 Baar Hua Uske Baad Shaikh Sarang(Reh) Ne Hazrat Shah Mina Sahab(Reh) Se Kaha Ki Aaj Se Lucknow Ki Wilayat Hum Tuhme Dete Hai Aur Nasiyat Famaye Ki Haar Haal Main Allah Ki Raza Main Razi Rehna, Aur Apne Bete Malik Mina Sahab(Reh) Ke Liye Ap Ne Kha Ki Use Kehdena Sagawa Patwa Kahiyo Bin, Rahiyo Ghar Do Teen, Iske Baad Hazrat Makhdoom Sahik Sarang(Reh) Ne Sara Saman Jo Unhai Apne Buzrgon Se Mila Tha Wo Sab Shah Mina Sahab(Reh) Ko Ata Kardiya Aur Jumeraat Ki Raat 17 Tariq Ko 855 Hijri Main Apka Wisal Hogaya.


Hazrat Shah Mina Sahab Apne Peer Ke Parde Ke Waqt Wahan Akele Thai. Isi Wajah Se Wo Pareshan Thai Ki Kafan Dafan Ka Intezam Kaise Hoga Yahan To Charo Taraf Door Door Tak Jungle Hai. Isi Pareshni Main Ap Giraftar Thai Aur Soch Rahey Thai Ki Kaise Hoga Sab Achanak Shaikh Sarang(Reh) Ne Sar Par Se Chadar Hata Kar Kaha “Ay Shaikh Mina Fikar Na Kunad Khuday Tala Kifayat Karad”
.
Hazrat Shah Mina Shab Ye Karamat Dekh Kar Behosh Hogaye, Unke Behosh Hone Ke Thodi Deer Baad Kuch Naqab Band Log Wahan Hazir Huye , Un Logon Ne Hazrat Ko Madfan Kiya Aur Janaze Ke Namaz Ada Ki. Jab Hazrat Shah Mina Sahab(Reh) Ko Hosh Aya To Apne Dekha Ki Sara Kaam Ho Chuka Hai Aur Kale Naqab Pehne Bohat Se Log Samne Khade Hai. Makhdoom Shah Mina Sahab(Reh) Ne Unse Pucha Ki Aap Log Kaun Hai To Un Naqab Posh Logon Ke Sardar Ne Kaha Ki Hum Log Shaheed-Ane-Karbala Hai Hamain Allah Ke Paigambar (Sal Lal Laho Tala Alaihi Wsalm) Ne Hukum Diya Tha Is Allah Ke Wali Ki Janaze Main Shirkat Ka, Itna Kehkar Wo Lashkar Wapas Chalagaya. Hazrat Makhdoom Shah Mina(Reh) Wahi Rukey Rahey 3 Din Baad Hazrat Shaikh Sarang(Reh) Ke Sahab Zade Hazrat Malik Mina(Reh) Shikar Se Wapas Aye Unhain Sara Haal Malum Hua. Shah Mina Sahab(Reh) Ne Sara Saman Jo Unhain Makhdoom Shaikh Sarang Sahab(Reh) Se Mila Tha Wo Unke Samne Rakhdiya. Ye Dekh Kar Bohar Prem Se Malik Mina Sahab(Reh) Ne Kaha Ki Ye Sara Saman Aur Tabarukat Tumhare Liye Hi Hai Mere Liye Allah Aur Uske Rasool(Sal Lal Laho Tala Alaihi Wasalam) Kafi Hai. Itna Kehkar Hazrat Malik Mina Sahab(Reh) Gaon Se Bahar Agaye Aur Allah Ki Yaad Main Baith Gaye Aur Apni Sari Zindagi Wahi Rahe Haq Ki Dawat Detehui Guzar Di.

Hazrat Makhdoom Shaikh Sarang (Reh) Ke Do Khalifa Huye 1) Hazrat Shah Mina Shah Baba(Reh) 2) Hazrat Makhdoom Hissam Uddine Fatehpuri(Reh).

It is just few km from Barabanki, Deva sharif (Waris Paak)
                                                                                                                                         

::: Whats New:::
Medina Gallery
Makkah Gallery
Dargah in Khuladabad
Register for Weekly Newsletters
Ask a Mufti Online
Team Visits
Video Section
Forums
Medical Advantages of Sajda
More Dargahs of the world
Visiting Graves
Purification of Soul
Pious Words
Mother or the Father
12 Foods of Prophet (Peace and Blessings be Upon him)
Secrets of Suraah
     
  
Women Sufi India
Ants Speak
Dates - Khajoor
Uhud
Hadees
Sunnah

Zikr and Prayers

Rare Pics and Qualities of ZAM ZAM well
Ideal Muslim
Allah's Pharmacy - Must Read Article
Islamic Personalities
800 Year Old Quran
Prophets Gallery
Imp Of Namaaz
Jannatul Baqi
Prophets Mazaars
Kaaba & Qiswa
Women Sufis
Masjid Al Aqsa
Islam in China
Islamic Calendar
In Media
 
   
::: Gallery :::
Medina Gallery
Makkah Gallery
Prophets Gallery 1
Prophets Gallery 2
Prophets Gallery 3
Prophets Gallery 4
Prophets Gallery 5
Dargah Gallery
Masjid Gallery 1
Masjid Gallery 2
Masjid Gallery 3
Masjid Gallery 4
Prophets Mazars
  
::: Support :::
Contribute
Advertise
Support Us
Contact Us
Partners
Resource
Guestbook
Sakhi Saeeda
About Us
  

mission
history
monuments
personalities
why ajmer
miracles
functions
khadims
arrival
nazar niaz
karamaats
urs
ajmer blasts

 

::: Islamic :::
Al Mighty
Zikr and Prayers
About Islam
Prophet
Sunnah
Quran
Imams
Caliphs
  
Magician
Camels
Grave
Majzoob
News of Unseen
Corpse Alive
Blind Vision
Benficial Leson
Other Miracles
 

Sarwar Sharif
Dhai Din Jopra
Taragard Fort
Ana Sagar
Langar Khana
Jannati Darwza
Aulia Masjid
Mehfilkhana
Jama Masjid
Click for Full list...

   
::: Stories :::
Stories of Prophet
Stories of Imam Ali
 
  

Sarwar Sharif
Dhai Din Jopra
Taragard Fort
Ana Sagar
Langar Khana
Jannati Darwza
Aulia Masjid
Mehfilkhana
Jama Masjid
Click for Full list...

Sarwar Sharif
Dhai Din Jopra
Taragard Fort
Ana Sagar
Langar Khana
Jannati Darwza
Aulia Masjid
Mehfilkhana
Jama Masjid
Click for Full list...

Reproduce Only with Permission and Acknowledgments : Email us at Indiansunni@gmail.com
Translate Website :
[Baqarah 2:157] These are the people upon whom are the blessings from their Lord, and mercy; and it is they who are on guidance.
Official Letters from Major dargahs : Aulia-e-hind.com Banners at Major dargahs : Achievements of Site : Meet the Team
 
About Us     Contact Us    Support Us    Contribute    Advertise     Search     Email     FAQ's     Forum


Intro
   Almighty    Islam    Prophet    Uhud    Quran    Hadees    Caliphs    Imams    Aulia Allah    Sufism    History N Facts     Islamic Women
Ziyarah    Indian Dargahs     International Dargahs     Chishti    International Masjids    Modern Miracles
   
Qiswa
   Qayamat    Namaaz    Jannat & Jahannum    Important Sunni Dates     Harut & Marut    Yajooj & Majooj    Sacred Sites
   

Click here to make Aulia-e-hind.com your default homepage
-------------------------------------------------------------------
RSS    SMS    Search    Email    Resource    FAQ's    Home    
Partners    Disclaimers    Forum


       
  

Now Add New Dargahs, Upload Pictures, Ask Questions, Share Articles, Give Suggestions and Complains
Just by registering on our
Forums

Also Visit
kgn786.com  ::: sayedalimiradatar.com ::: hazratfazlerehman.com ::: sunnilive.com

This website is a privately maintained Information site and does not have any Official connection or
Affiliation whatsoever to any Dargah / Trust Or any Related Organizations, nor is it endorsed or supported by any of them in any way.

Much of the content on this site was sent by other users or by members,.
Aulia-e-hind.com makes no promises or representations about its accuracy, performance, quality, or content.


hit counter

Site Desinged and Hosted by Softech Solutions
http://www.softechsol.com


Site optimized for Internet Explorer 5.5 and above and Mozilla Firefox 1.0.4 ,
Resolution 1024*780