Makkah Gallery   Medina Gallery   Gaus Paak   Madar Paak   Khwaja Garib Nawaz   Nagore Sheriff   Sabir Paak   Waris Paak   Alaa Hazrat

   Indian Dargahs   Intl. Dargahs   Hadees   Namaaz    Silsila    Sacred Sites    Masjid Gallery   Dargah Gallery   Search    Forums    Home   

 Latest News from South Asia :
« »
::: Forums :::
Why should a Non Muslim Revert to Islam
Answer Wahabis
Stories & Waqias
Pearls of Wisdom
Beauty of Islam
Beauty of Rasool
(peace be upon him)
Other Religions
Add New Dargahs
Whats New
Khadim Info
Urs Info
FAQ
 
::: Islamic :::
Al Mighty
Zikr and Prayers
About Islam
Prophet
Sunnah
Quran
Imams
Caliphs
   
::: Stories :::
Stories of Prophet
Stories of Imam Ali
  

::: Search :::
Indian Dargahs
Intl. Dargahs
By Indian State
By Map of India
Whats New
Search Full Site
 
 
::: Historical :::
Sacred Sites
4 Caliphs of Islam
4 Imams of Islam
Historical Facts
Histories Firsts.
 
::: Articles :::
Allahs Pharmacy - Must Read Article
Kaaba & Kiswah
Women Sufis
Aulia Allah
Real Masjid Al Aqsa
Islam in China
Best Time for Duaa
Harut & Marut
Stories of Prophet
Stories of Imam Ali
Harut & Marut
YA'JOOJ MA'JOOJ
Excuse for Namaaz
Chisty
Sufism
Women in Islam
Ziyarat
  
 
  
::: Contacts :::
Introduction
About Us
Contact Us
Support Us
Advertise
Guestbook
Partners
Resource
   
::: Gallery :::
Dargah Gallery
Masjid Gallery 1
Masjid Gallery 2
Masjid Gallery 3
Masjid Gallery 4
Prophets Mazars
Prophets Gallery 1
Prophets Gallery 2
Prophets Gallery 3
Prophets Gallery 4
Prophets Gallery 5
  
 
  
::: Celebrations :::
Bakra Eid
Eid-Ul-Fitr
Ramadan
Rajjab
Shaaban
Kunde
Shawwal
Shab-e-Baraat
Moharram
12 Rabiul Awwal
Shab-e-Mehraaj
Laylat al-Qadr
   
::: Support :::
Contribute
Advertise
Support Us
Contact Us
Partners
Resource
Guestbook
About Us
 
::: Whats New :::
Sunnah

Zikr and Prayers

Rare Pics and Qualities of ZAM ZAM well
Ideal Muslim
Allahs Pharmacy - Must Read Article
  

 


Mukhtasir halaat-e-zindagi
Hazrat molana molvi syed haji mohammad qasim hussain hashmi
Mustafai fazl-e-rehmani aala mehboob-e-rasool barielvi qudus sirrah-ul-aziz

Hazrat Molana Molvi Shahenshah Syed Haji Mohammad Qasim hussain hashmi mustafai fazl-e-rehmani aala mehboob-e-rasool ka silsila-e-nasabi hashmi aur silsila-e-nisbati musatafi fazl-e-rehmani hai.Aap kay moris-e-aala Hazrat Syedna-o-Molana Khasatullah (raziAllah tala anhu) Arab say Hindustan main aakar Sambhal zila Muradabad main muqeem huway,mosuf say Hindustan main silsila Abasia jaari hua.Isi khandan kay ek buzurg Syedna-o-Molana Qazi Abdul Salam (razi allah tala anhu),Sambhal say Barieli shareef tashreef laye aur yahin bod-o-baash ikhtiyaar farmaye.


Mosuf Qazi Abdil Salam( razi Allah tala anhu) ke aulad main Syedna-o-Molana Mohammad Ahsan khan( razi Allah tala anhu )haan darbar-e-Shahenshah Aurangzaib Alamgir main ba-Uhda Qazi mamoor huway thay aur inhain shahi ustaad honay ka bhi sharf hasil tha,jis kay silay main "khan" ka khitaab aur bawan(52) gaaon ata farmaye gaye thay,mager hukumat-e-Bartania nay imlaak-e-mazkura zabt kar kay is kay aewaz kul khandan kay liye woseeqa moqarrar kardiya.Haji mian (rehmatullah alai) ko jo isi khandan kay chashm-o-chiraagh thay,ta-hayat un kay hissay kay mutabiq muballigh 212 rupay 10 aanay 2 paye sikka raij-ul-waqt woseeqa milta raha.


Haji sahib qibla ka khandan hamesha ilm dost raha.Aap kay khandan main Ulama, Fuzalaa,Poets,Hukama aur Haffaaz paida huway.Ap kay par-dada Molana Shaahab uddin Hashmi sahab kay shagird jinnaat bhi thay "Sikandar namay" ke shara tau un ka khaas hissa hai,Ap kay dada Molvi Hakeem Wahab uddin Hashmi sahab mutakhallas-ba mahar ko Hazrat Molana Shah Fazl-e-Rehman Gunj Muradabadi Qudus sirrahu nay khilafat ata farmaye thi aur Hakeem Wahab uddin sahab Mahar ka shumaar us waqt kay Ustaad-us-shura main hota tha.Haji sahab (razi Allah tala anhu) shairi main apnay dada mazkura he kay shagird thay.


Haji sahab ko bachpan he say khail kood say koi dilchaspi nahin thi,samajhdaar honay par apnay dada ka naatia kalaam parhtay thay,isi shoq ke bina per apnay hum umar larkoon ko ghar bulatay aur un kay saath naat shareef parhtay.Huzoor (sallallahoaliwasalm) say aap kay ishq-o-mohabbat ka yeh alam kay jo larkay naat shareef parhnay aatay,un ke har tarha khatir madarat kartay takay wo rozana aatay rahain aur naat shareef sunatay rahain,aap bachpan he say soum-o-salaat kay pa-band thay aur apna zada waqt yaad-e-Ilahi aur Zikr-e-Rasool
(sallalahoaliwasalm) main sarf kartay thay,aap ka naatia kalaam mukammal tor per duaia hai aur is kay mutalay say qaraeen khoob andaza karsaktay hain kay Haji sahab qibla ka andaz-e-bayaan dosray naat gou shura say kis qadar mukhtalif hai.
Haji sahab nay urdu,farsi aur arabi taleem apnay dada Hakeem Wahab uddin sahab say hasil ke jis ka uper zikar kiya gaya.shairi main bhi apnay dada kay shagird huway aur naat goe main ek aala maqaam hasil kiya,jis ka bain saboot aap ka deewaan "Bahishti Chiraagh" hai,aap ko angraizi taleem hasil karnay kay liye ek angraizi school main dakhil kiya gaya.urdu,farsi aur arabi zabaan ke tarha aap ko angraizi zabaan par bhi dastaras hasil thi.


Dada aur walid kay inteqaal kay baad majburan Barieli shareef kay cantonment board main mulazmat ikhtiyaar farmaye aur aala Uhday par faaiz huway.Arsa daraaz tak mazkura Uhday par faaiz rahay.Aap mulazmat kay douraan daftari auqaat kay intehai paband thay aur wahan bhi taqwa ka yeh alam tha kay kabhi daftar ke stationary bhi zaati masraf main nahin laye.Douraan-e-mulazmat he aap nay 1919 main Haj-e-Akbar ke saadat hasil farmaye,jahan Huzoor pur Noor Syed-e-Alam (sallalahoaliwasalm) nay aap ko khilafat ata farmaye aur farmaya kay "merey pyaray dularay sabir-o-shakir aala mehboob Syed Qasim Hussain Mehboob-e-Ilahi tumharay peer Fazl-e-Rehman Mehboob Mehboob-e-Ilahi hain" aur farmaya kay "tum jis ko chaho khilafat day saktay ho".


Haji sahab qibla ke mazkura bala khilafat ke tasdeeq ba-kasrat Aulia Allah nay farmaye.Mazeed yeh kay jab Gunj Muradabad shareef main Haji sahab qibla Molana Rehmatullah mian nabeera ja-nasheen-e-azam Molana Fazl-e-Rehman ke khidmat main hazir huway tau unhoon nay mazkura farmaan-e-Mustafai shareef ke tasdeeq farmatay huway khud apni khilafat bhi ata farmaye jaisa kay un ke Mandar-ja-zail tehreer say zahir hai.

Haj say wapsi kay baad aap nay mulazmat say istefa day diya aur Gousha-e-Nasheeni ikhteyaar farmaye.Zaroriyaat-e-zindagi khandani waseeqay say jo mubalaq 212 rupay 10 aanay 2 payee tha, puri kartay rahay,makhloq-e-Ilahi joq dar joq aap ke khidmat-e-aqdas main hazir hokar fuyoz-o-barkaat hasil karnay lagi aur aap nay rashd-o-hidayat ka silsila jaari kardiya.


22 Rajab-ul-murajjab 1347 Hijri ko aali janab Shahzada Jalil-ul-Qadar Syed Shah Ismail sahab Sunni Hanafi Makki Madani Rafai apnay seenay say ek botal shareef lagaye huway janab Moulana Moulvi Sufi Shah Amjab Raza Khan sahab Qadri Noori Barkati Marervi(jo Mustafa Raza Khan sahab kay haqeeqi mamoo thay) kay hamrah Shahehshah-e-Konain (sallalahoaliwasalam) ka yeh paigham-e-pak lay kaar Khanqah-e-Mustafai shareef Barieli main tashreef laye aur Haji sahab ko yeh keh kar botal ata farmaye kay is main Medina shareef kay Roza-e-aqdas kay ghusalay shareef ka khaas paani hai jo naslan baad naslan un tak pohoncha hai aur Muhammad Mustafa sallallahoaliwasalm nay apni zaban-e-aqdas muqaddas say irshaad farmaya hai kay "yeh paani Syed Qasim Hussain Qudus sirrahu ko day kar hamari taraf say yeh muzda sunado kay tujh say ma mureedeen-o-aulaad-o-ahle-bait mehshar main jannat ka vaada hai" aur phir Mustafa (sallalahoaliwasalm) kay dast-e-aqdas shareef say Haji sahab qibla ke masnad nasheeni ka waqeya bayan farmaya.


Yeh inaam aqdas shareef ba-zarya taba shuda ishtehaar aam kardiya gaya tha,is liye ba-kasrat ahl-e-sheher-o-saknaan-e-bairoon-e-jaat nay aab-e-ghusalay shareef nosh farmaya aur Madani Shehzaday ke mandarja-e-bala taqreer aur ziarat say mustafeez huway.


Haji mian sahab (rehmatullah alai) ko Sarkar-e-doalam (sallallahoaliwasalm) say intehai darjay ka ishq tha aur har waqt Huzoor (sallalahoaliwasalm) kay zikar-e-muqaddas main mehev rehtay thay,lehaza aap is ishq-o-muhabbat main Urs-e-Mustafai shareef nihayat adab-o-aehteraam kay saath jis ka aelaan har saal ba-zariya ishtehaar kiya jata hai 20,21,22 March ko mosmi lehaz say Khanqah-e-Mustafai shareef Sufi Tola Purana Sheher Baans Barieli main kartay rahay.Aap nay farmaya kay 12 Rabi-ul-Awwal shareef ko 21 March aur Mosam-e-Fasl-e-Bahar thi,lehaza Rabi-ul-Awwal ka mahena kabhi sardi,kabhi garmi aur kabhi barsaat main ata hai aur 20,21,22 march hamesha Mosam-e-Fasl-e-Bahar main he hotay hain,lehaza Urs-e-Mustafai shareef ka silsila Khanqah-e-Mustafai shareef Purana Sheher "Baans Barieli" main abhi tak jaari-o-saari hai.Aap nay apnay tareekh-e-visaal 13 Rabi-ul-Awwal shareef kay liye farmaya kay fateha karliya karo,mager Urs-e-Mustafai shareef kabhi band na kiya jaye.Isi hokum kay tehet Urs-e-Mustafai shareef mandarja-bala tawareekh main ahl-e-silsila Khanqah-e-Mustafai shareef "Baans Barieli" main munaqid kartay hain aur Pakistan main mazkura Urs 21 March ko makaan number 947 block 15 Khanqah-e-Qasmi Mustafai shareef Federal B area Karachi Pakistan main nihayat adab-o-aehteraam say manaya jaata hai.


Haji mian( rehmatulllah alai) kay hokum kay mutabiq aap kay mureed-o-khalifa Hazrat Molana Muhammad Tahir Hussain Qasmi Mustafai Fazl-e-Rehmani Badayoni arsa-e-daraz tak har shab do-shamba aqdas shareef ko Dawat-e-Meelad Aqdas shareef Badayun shareef(U.P.India) main munaqid kartay rahay aur ab 13 Rabi-ul-Awwal shareef ko har saal jis tarha ahl-e-silsila Khanqah-e-Mustafai shareef Baans Barieli(India) main Urs-e-Qasmi munaqid kartay hain aur har shab panj-shamba aur har maah-e-qamri ke 13 tareekh ko(Haji sahab ke tareekh-e-visaal ke nisbat say) Dawat-e-Meelad Aqdas shareef munaqid kartay hain,isi tarha har saal 13 Rabi-ul-Awwal shareef ko Urs-e-Qasmi shareef har qamri maah ke 13 tareekh aur har shab do-shamba ko Khanqah-e-Qasmi Mustafai shareef Dastagir Federal B area Karachi main baad namaz-e-maghrib Dawat-e-Meelad Aqdas Shareef munaqid hota hai,jis main makhloq-e-ilahi shareek hokar fuyuz-o-barkaat hasil karti hai.

Tareekh wiladat Haji Qasim Mustafai Fazl-e-Rehmani Aala Mehboob-e-Rasool Barielvi Qudus Sirrahu Hazrat peer-o-murshid syedna-o-molana shahenshah Haji Mohammad Qasim Hussain Hashmi Mustafai Fazl-e-Rehmani Aala Mehboob-e-Rasool 3 December 1887, ba-mutabiq 12 Rabi-ul-Awwal shareef 1305 Hijri, ba-roz yak-shamba, ba-waqt 9:30 bajay shab zila Baans Barieli(U.P.India) main paida huway.

Tareekh-e-wisaal Haji Qasim Mustafai Fazl-e-Rehmani Aala Mehboob-e-Rasool Barielvi Qudus Sirrahu Hazrat peer-o-murshid syedna-o-molana shahenshah Haji Mohammad Qasim Hussain Hashmi Mustafai Fazl-e-Rehmani Aala Mehboob-e-Rasool 13 Rabi-ul-Awwal shareef 1939 ko wisaal farmagaye.Haji mian (Rehmatullah alai) ka Urs-e-Mubarak "Urs-e-Qasmi" har saal 13 Rabi-ul-Awwal shareef ko manaya jaata hai jis main khalq-e-Khuda joq dar joq aakar faiz-e-Qasmi hasil kartay hain.


                                                                                                                                         

::: Whats New:::
Medina Gallery
Makkah Gallery
Dargah in Khuladabad
Register for Weekly Newsletters
Ask a Mufti Online
Team Visits
Video Section
Forums
Medical Advantages of Sajda
More Dargahs of the world
Visiting Graves
Purification of Soul
Pious Words
Mother or the Father
12 Foods of Prophet (Peace and Blessings be Upon him)
Secrets of Suraah
     
  
Women Sufi India
Ants Speak
Dates - Khajoor
Uhud
Hadees
Sunnah

Zikr and Prayers

Rare Pics and Qualities of ZAM ZAM well
Ideal Muslim
Allah's Pharmacy - Must Read Article
Islamic Personalities
800 Year Old Quran
Prophets Gallery
Imp Of Namaaz
Jannatul Baqi
Prophets Mazaars
Kaaba & Qiswa
Women Sufis
Masjid Al Aqsa
Islam in China
Islamic Calendar
In Media
 
   
::: Gallery :::
Medina Gallery
Makkah Gallery
Prophets Gallery 1
Prophets Gallery 2
Prophets Gallery 3
Prophets Gallery 4
Prophets Gallery 5
Dargah Gallery
Masjid Gallery 1
Masjid Gallery 2
Masjid Gallery 3
Masjid Gallery 4
Prophets Mazars
  
::: Support :::
Contribute
Advertise
Support Us
Contact Us
Partners
Resource
Guestbook
Sakhi Saeeda
About Us
  

mission
history
monuments
personalities
why ajmer
miracles
functions
khadims
arrival
nazar niaz
karamaats
urs
ajmer blasts

 

::: Islamic :::
Al Mighty
Zikr and Prayers
About Islam
Prophet
Sunnah
Quran
Imams
Caliphs
  
Magician
Camels
Grave
Majzoob
News of Unseen
Corpse Alive
Blind Vision
Benficial Leson
Other Miracles
 

Sarwar Sharif
Dhai Din Jopra
Taragard Fort
Ana Sagar
Langar Khana
Jannati Darwza
Aulia Masjid
Mehfilkhana
Jama Masjid
Click for Full list...

   
::: Stories :::
Stories of Prophet
Stories of Imam Ali
 
  

Sarwar Sharif
Dhai Din Jopra
Taragard Fort
Ana Sagar
Langar Khana
Jannati Darwza
Aulia Masjid
Mehfilkhana
Jama Masjid
Click for Full list...

Sarwar Sharif
Dhai Din Jopra
Taragard Fort
Ana Sagar
Langar Khana
Jannati Darwza
Aulia Masjid
Mehfilkhana
Jama Masjid
Click for Full list...

Reproduce Only with Permission and Acknowledgments : Email us at Indiansunni@gmail.com
Translate Website :
[Baqarah 2:157] These are the people upon whom are the blessings from their Lord, and mercy; and it is they who are on guidance.
Official Letters from Major dargahs : Aulia-e-hind.com Banners at Major dargahs : Achievements of Site : Meet the Team
 
About Us     Contact Us    Support Us    Contribute    Advertise     Search     Email     FAQ's     Forum


Intro
   Almighty    Islam    Prophet    Uhud    Quran    Hadees    Caliphs    Imams    Aulia Allah    Sufism    History N Facts     Islamic Women
Ziyarah    Indian Dargahs     International Dargahs     Chishti    International Masjids    Modern Miracles
   
Qiswa
   Qayamat    Namaaz    Jannat & Jahannum    Important Sunni Dates     Harut & Marut    Yajooj & Majooj    Sacred Sites
   

Click here to make Aulia-e-hind.com your default homepage
-------------------------------------------------------------------
RSS    SMS    Search    Email    Resource    FAQ's    Home    
Partners    Disclaimers    Forum


       
  

Now Add New Dargahs, Upload Pictures, Ask Questions, Share Articles, Give Suggestions and Complains
Just by registering on our
Forums

Also Visit
kgn786.com  ::: sayedalimiradatar.com ::: hazratfazlerehman.com ::: sunnilive.com

This website is a privately maintained Information site and does not have any Official connection or
Affiliation whatsoever to any Dargah / Trust Or any Related Organizations, nor is it endorsed or supported by any of them in any way.

Much of the content on this site was sent by other users or by members,.
Aulia-e-hind.com makes no promises or representations about its accuracy, performance, quality, or content.


hit counter

Site Desinged and Hosted by Softech Solutions
http://www.softechsol.com


Site optimized for Internet Explorer 5.5 and above and Mozilla Firefox 1.0.4 ,
Resolution 1024*780